Wednesday, September 30, 2009

somprabh said:
yeh sub baat to theek hai. pur avinaash ji iss pur bhi to sochiye ki kya yeh bhi koi aisa issue hai jismen aaropi lekhak ka naam bhi na ho.umeed hai ki aap iss pur gambhir honge. logon ki to jane digiye pur kum se kum apni saafgoi sure kariye. aksar koi cheej isliye bhi nahi sulajhti kyonki logon ka muksud sirf hangama khada kar majaa lene bhur ka hota hai. umeed hai ki aarop agar sahi hoga to aap youn hi haath se nahi nikal jaane denge.

# 29 September 2009 at 10:12 am

ANIKET said:
JAB GYANPITH NE STATEMENT HE BADAL DIYA HAI TO ISAKA SHIKAR KOI EK LEKHAK NAHI HAI BALKI GYANPITH KE SABHI LEKHAK HAIN. ISLIYE MUDDA YAH NAHI HAI KI YAH LEKHAK KAUN HAI MUDDA HAI KI GYANPITH NE AISA KYON KIYA?

SOMPRABH JI YADI IS LEKHAK KA NAM KHOL DIYA JAY TO KAL INAKI KITAB KAUN CHHAPEGA? KYA AAP CHHAPENGE? NAM NA CHHUPANE KI MANSHA KO SAMAJHIYE AUR MUDDE KI GAMBHIRTA PAR BAT KIJIYE.

RAVINDRA KALIYA KE PAHALE AUR BAD KE STATEMENTS KE ANTAR PAR GYANPITH KE MALIKON KO SHEEGHRA SPASHTIKARAN DENA CHAHIYE.

# 29 September 2009 at 10:39 am

somprabh said:
bhai aniket! aapki baat theek hai.mai iss mudde ke tukniki jutilta ko to nahi samajhta. pur prakashkon ki din dooni raat chaugni hone wali kamai ke sambhand mein aur din raat khut kar likhne waale hindi lekhkon ke khasta haal bane rahne ke baare mein na sirf waqif hoon balki gambhirtaa se sochta bhi hoon. pur ek cheej aap khud sochiye ki yeh koi aisa vishay meri drishti mein to nahi hai ki blog pur likhkur suljhaya ja sake. phir yeh yadi ek lekhak ka maamla nahi hai to iss kathit forjury ke khilaf bahut se log saath aayenge.jaisa ki aapne kaha ki yeh koi ek lekhak ka maamla nahi hai.koi akle ki baat to nahi hai to kitaab chaapne na chaapne ka koi dur to nahi hona chahiye.
philhaal ke liye mera koi publication nahi hai.bhavishya mein hoga bhi nahi.lekin mai lekakon ki ladai ko apni ladai jaroor maanta hoon.

(bhai avinaash ji! mere pahle comment ke saath kisi aur ki photo chipuk gayi hai aap theek kur den .shayad kisi fault ke kaaran.)

# 29 September 2009 at 11:30 am

SANKET said:
Avinash bhai, mohallalive par ek sarthak bahas shuru karane ke liye badhai!

dhanyavad somprabh ji aur aniket bhai ko bhee ki unhoMne mamale ko gambheerata se chuaa. aniket bhai thik kahate hain ki mamale kee gambheerata par baat ho.

pichhale dino PAKHI ne SANJIV par ank nikala hai… ukt ank me PREM BHARADWAJ ne SANJIV par likhate huye yah sawal uthaya hai kee sirph lekhan par jinda rahane vala lekhak aarthik roop se kyon MUKTIBODH, MATIYANI, AMARKANT aur SANJIV ban kar rah jate hain? GYANPITH aur RAVINDRA KALIYA ke is naye prakaran me is sawal ka uttar bhee chhupa dhikta hai.

hindi ke tamam lekhakon-pathakon ko aapasee rag-dvesh bhula kar GYANPITH ke is kukritya kee bhartsna karni chahiye aur GYANPITH ke prabandhan se is bat kee maang karani chhiye ki na sirph vah is mamale me apanee sthitti spasht kare balki royalti statement me kee gai raddobadal ko aaj hee sudharne ka uchit nirdesh jaree kare.

# 29 September 2009 at 11:46 am

ANIKET said:
BHAI SOMPRABH JI, MEREE BAT KO EK HEALTHY SPIRIT ME LENE KE LIYE SHUKRIYA. AAP NE LEKHAK-PRAKASHK KEE VIPAREET AARTHIK DASHA KA UCHIT ANKAN KIYA HAI.

YAH THIK HAI KI NET PAR IS SAMASYA KA SAMADHAN NAHI NIKALEGA, LEKIN SHURUAAT KAHIN SE HO USAKEE PRASHANSA KARANEE CHAHIYE. AUR YADI MAMALA JAYAJ AUR IMANDAR HAI TO HUM SAB LOGON KO, JO APANEE BHASHAA AUR APANE LEKHAKON KEE KADRA KARATE HAIN, AISE MUDDE PAR CHUP RAHANE KE BAJAY APANA PAKSH RAKHANA CHAHIYE.

MOHALLA LIVE KE IS ISSUE KO HAMAREE GAMBHEERATA HI EK SARTHAK BAHAS ME BADALEGEE TAKI SETHON-PRAKASHKON KE MUNAPHE KA JAYAJ HISSA LEKHAKON TAK BHI PAHUNCH SAKE.

# 29 September 2009 at 11:53 am

abhijeet said:
naye lekhakon ko laane aur chhapane ka shor karne vale ravindra kaliya bheetar-bheetar kis tarah lekhakon kee jaden kaat rahe hain yah is prasang se spasht ho gaya hai. ravindra kaliya ko apane is dumuhepan ke liye sarvajanik roop se hindee ke lekhakon aur pathakon se maaphee maanganee chahiye.

ek bat aur hai, royality statement me itana bada pher badal kya kaliya apanee marjee se kar sakate hain? mujhe to is me gyanpeeth ke maalikon kee bhee milee bhagat lagatee hai. naheen to ab tak ve chup kyon hain? unakee taraph se koi saphai kyon nahee aa rahee hai? sawal hai jaayen to jaaye kahaan? jab gyanpeeth ka yah haal hai to any prakashkon kee baat hee karna bekar hai.

# 29 September 2009 at 2:17 pm

om prakash tivari said:
avinash ji, baat to nishchit taur par damdar hai lekin lekhak ka samane na aanaa bhee kai sawal khade karata hai. ye sawal is story ke vishvasneeyata par nahee hain balki is samay par hai, is samay me vyapt prakashkon ke mammane aacharan par hai ki aakhir ve kaun se karan hain ki pichhale teen varshon se yah khel jnanpith me chal raha hai aur aaj tak ek bhee lekhak (jnanpith ka) iske khilaph nahi bol saka. aur aaj jo bol bhi pa raha hai use nam chhupana pad raha hai.

mai lekhak nahee hoon lekhakon kee is sthiti se hamaree sahanoobhooti hai. aap ne rayality statements kee jo chhayaa pratiyaan lagaai hai use dekh kar nishchit taur par ravindra kaliya ji aur jnanpith dono shak ke ghere me hain. jnanpith ko apane sansthan ke goodwill kee khatir ya to is masle par apanee saphai denee chahiye ya yadi yah satya nahi hai to unhe is story ko publicaly disown karana chahiye. karan ki ab yah mamala sarvajanik ho chuka hai.

# 30 September 2009 at 8:41 am

ashwini zadokar said:
avinash ji aapane jo bahas shuru kee hai vah door tak jani chahiye. lekhak ka nam na dene ka prayojan samajha ja sakata hai lekin jab aapane khabar lagai hai to iskee visvasneeyata bhee aapako bhee bahal karani hogee.

is post me professional ethics kee baat kee gai hai, patrakarita ke moolyon ka bhi yahi takaja hai ki is khabar ko balance karane ke liye BHARTIYA GYANPITH ka paksh bhee rakha jay aur yah kam bhi khud aap ko hee karana padega. usake bad dekhiye is khabar kee gambhirta kitni badh jati hai.

No comments: